'Fir chupke se yaad aa gaya koi, in hasti hui ankhon ko rula gaya koi, kya thi unke chehre ki masumiyat, is nafrat bhare dil ko mohabbat sikha gaya koi'
Banane ko to jahan bhi bana leta hu, Ek uski justju hai jo khud ko bhula deta hu, Wo aayenge nahi ye yakin ho chala hai, Ek aur mukaddar is diye sa jala hai, Phir bhi unke laut aane ka imkan baaki hai, Dil me ummid aur thodi si jaan baaki hai.
Kya zamaana tha, ke hum roz mila karte thay, Raat bhar chaand ke humraaz phira karte thay, Dekh kar jo humein chup chaap guzar jate hai, Kabhi us shaks se hum pyaar kiya karte thay.