'Fir chupke se yaad aa gaya koi, in hasti hui ankhon ko rula gaya koi, kya thi unke chehre ki masumiyat, is nafrat bhare dil ko mohabbat sikha gaya koi'
Apni aankhoon Ke Samunder main Utar Jaane De .. Tera mujrim hoon .. Mujhe Doub Ke Mar Jaane De ... Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile hain Mujh ko . Sonchta hoon kahoon Tujh Se ..Magar Jaane De
Ikraar mein shabdon ki ehmiyat nahi hoti, Dil ke jazbaat ki awaaz nahi hoti, Aankhen bayaan kar deti hain dil ki daastan, Mohabbat lafzon ki mohtaaz nahi hoti!
Jidher bhi jaoon nazar mein us ka chehra rahta hai.... Woh mere dhiyan ke sabhi raastoon mein rahta hai... Bichadh kar us se pereshan mein to hoon.... Per suna hai wo bhi uljhanoon mien rahta hai...