Kya zamaana tha, ke hum roz mila karte thay, Raat bhar chaand ke humraaz phira karte thay, Dekh kar jo humein chup chaap guzar jate hai, Kabhi us shaks se hum pyaar kiya karte thay.
Yaado ko teri humne khone na diya, gumo ne bhi chup hone na diya. aankhe to aaj bhi bhar aayi teri yaad me, par teri di hui kasam ne hume rone na diya.!
Os ko bohat chaha magar woh mila hi nahi, LAkh koshish ki magar faasla mita hi nahi, Os ko zamaney ne majboor is qadar kr diya K , woh meri kisi sada per thehra hi nahi,
Khuda ne mujse kaha bande dosti na kar dosti mein tu deewana ho jayega. Maine kaha ae khuda kabhi zamin pe aake MERE YAAR se mil, TU khud hi uska diwana ho jayega
Badi koshish k bad use bhula diya,uski yado ko sine se mita diya,1din fir uska sms Aaya likha tha bhul jao muje or bhula huva har 1lamha firse yad dila diya
Iss Duniya Ki Bheer Mein Koi Tanha Nahi Ye Zaroori Tu Nahi... Hanstey Laboon Kay Peechay Koi Siski Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Muskarati Aankhoon Kay Peechey Koi Aansoo Na Ho Ye Zaroori Tu Nahi... Ye Dil Under Say Tootey Or Chanak Bahar Bhi Sunai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Hum Under Say Jal Jaeen Or Dhuaa Bahar Bhi Dekhai Day Ye Zaroori Tu Nahi... Duniya Aapne Diya Hue Zakhmoo Per Marham Bhi Rakhey Ye Zaroori Tu Nahi
Bhigi ankho se muskrane me maza aur hai, Haste haste palke bhigane me maza aur hai, Bat kahke to koi bhi samzta hai, Khamoshi ko koi samze to maza aur he.
ab b tere surkh hotho k pyale mere tassabur me sathi bane haiab b teri zulf k mast saye birha k dukho me sathi bane hai meri mohabat ko thukra de chahe me koi tujhse na sikwa karunga aankho me rehti hai tasvir teri sari umar teri puja karunga