Tare Aasman Main Chamakte Hain Badal Door Hote Hue B Garajte Hain Is Dil Ki Nadani To Dekhiye Aap Dil Main Rahte Hain Aur Hum Aapse Milne Ko Taraste Hain…
Tumne chaha hi nahin,warna halaat badal sakte the, Mere anshoo teri ankhon se nikal sakte the, Tum to thahre hi rahe jheel ke paani ki tarah, Dariya bante to door nikal sakte the.
Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai, Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai, Use pana nahi meri taqdeer mein shayad, Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai.
Jaan chuke hum aaj, ke kyu khote rahe muhabbat ko, wo saamne rehte to hum khwaab dekhte the. Usko na mila apna chehra meri nazar mein, aur uske chehre ko hum khwaabo mein dhoondhte the