Bhigi huyi aankhon ka ye manzar na milega, ghar chhod ke mat jao kahi, ghar na milega.phir yaad bahut aayegi zulfon ki ghani shaam, jab dhup me saya koi sar par na milega.aansu ko kabhi oos ka qatra na samajhna, aisa tumhe chahat ka samundr na milega.
Aankho me rahne walo ko yaad nahi karte, dil me rahne walo ki bat nahi karte, humari to ruh me bas gaye hai aap, tabhi to hum aapse milne ki fariyad nahi karte.
Dil ki batein aakhon se kahi jati hai,Bol dhadkan se sune jate hai,Aap toh nadan hai jo saaf sunna chahte hai,ishq ke jazbat toh sirf mehsoos kiye jate hai.
Sanso ki Mehak ho ya Chehre ka Noor, Chahte hai aapko to isme Hamara kya Kasoor, Khuda se ek din Hum Puchenge Zaroor, Ki Chand se Kyun hai uski Chandni Door.
WAFA is ko nahin kehte wafa kuch or ho ti hai. Muhabbat karne walon ki ada kuch or ho ti hai. Tumhein dekha tumhein chaha tum hi se pyar kar bethe. Suno patthar k dil walon muhabbat aisi bhi hoti hai. Agar che gham ka maara hoon magar tum ko na bhoolonga. K deewano k honton per dua kuch or hoti hai. Tadap uthay gi yeh duniya agar royega dil mera. K Dil se jo nikalti hai sada kuch or hoti hai.
Matt dekho koi sakhsh gunahgar kitna hai, yeh dekho aapke sath wfadar kitna hai. Ye matt socho use kuchh logo se nafrat hai, ye dekho use aapse pyar kitna hai
Khuda se b pehle tera naam liya h maine,Kya pata tujhe kitna yaad kiya h maine,Kaash sun sakey tu dhadhkan meri,Har saans ko tere naam se jeeya he maine.