Girti hui baris ki bundo ko apne hatho me simat lo,jitna pani tum simat paye utna yaad tum hume karte ho,jitna pani tum simat nhi paye utna yaad hum karte hai.
Mahek unki aaj bhi meri sason me hai, har ek adaa unki meri in aankhon me hai. woh bhale mita de dil se mera wajud, Magar unki jagah aaj bhi meri in yaadon me hai.
Dilme chahat ka diya jalakar chup gaya koi,Mujhe apna diwana bana kar chup gaya koi,yeh dard kya hota hai malum na tha hume,Dardka rasta dikha kar chup gaya koi
Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,sachi chahat to sada bezuban hoti hai,pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai.