Hasraton ki nigaho pe sakht pehra hai, Na jane kis umeed pe ye dil thehra hai, Teri chahton ki kasam ae dost, Apni dosti ka rishta pyar se bahot zada gehra hai
Phir Dil Laga Kar Dekhenge,Dil Par Chot Khakar Dekhenge, Aansuoon Se Koi Tasveer Daaman Par Banakar Dekhenge, Phir Bhi Agar Ye Dil Dard Na Ban Saka-E-Dost, To Is Baar Dard Ko He Dil Bana Kar Dekhenge
Shayari mein dimaag nahi dil zaroori hai Kuch jigar ka khoon ho shamil zaroori hai Sirf lafjo ki tukbandi shayari nahi Sher ho dil pe lagne ke qabil zaroori hai