Kabhi Kabhi teri palkon pe jhilmilaaun mein, Tu kare intzaar aur na aau mein, Samunder mein le ja kar fareb na karna e-dost, Tu kahe to kinare pe doob jaau mein
Tere dil mein dosti ki buniyad rakhenge,, khud ko kaid magar tujhe aazad rakhenge,, kahin ho na jaye gustakhi dosti mein aye dost,, issliye hum apne kadam tere kadmo ke baad rakhenge,,
Dost to ruksat ho jaate hain, par kuch yaadon ke daayre ban jaate hain. Bhool jaana to insaan ki fitrat hai, par kuch acche Dost yaadon mein bas jaate hain...
Ae khuda apne chaand par itna gurur na kar, ek chaand sa dost hum bhi rakhte hain. Jab tarif hoti hai tere chaand ki, log misaal mere dost ki dete hain.
Manaki Har Zakhm ki dawa hai hum, Khud khuda nahi insan hai hum.. Fir bhi humari koshish Rahegi Ae Dost, Jo Kar na saka Khuda.. Tere liye wo Kar Dikhayege Hum.
Dilo ko kharidne wale hazar mil jayenge, tumko daga dene wale bar bar mil jayenge, milega na tumko hum jaisa koi... milne ko to dost beshumar mil jayenge..