Tujhe dekhe bina teri tasweer bana sakta hoon, Tujhse mile bina tera haal bata sakta hoon, Hai meri dosti mein itna dum, Apni aankh ka aansoon teri aankh se gira sakta hoon
Dosti yakeen pe tiki hoti hai,Ye deevar badi mushkil se khadi hoti hai,Kabi fursat mile to padhna kitab rishto ki,dosti khoon k rishton se bhi badi hoti Hai
Unka ashiyana dilo me bansa rakha hai.apaki yado ko sine se se laga rakha hai.pata nahi yad aap hi kyo aate hai. Dost to hamne ouro ko bhi bana rakha hai
saalon baad na jaane kya sama hoga, hum me se na jaane kaun kaha hoga, phir milna hoga to milenge yaadon me, jaise sukhe gulab milte hai purane kitaabo me
Jab kabhi tera naam lete hai Dil se hum inteqam lete hai Meri barbadiyo ke afsane Mere yaro ke naam lete hai Bas yehi ek jurm hai apna Hum muhabat se kaam lete hai.