Teri pyari umid kaise tod jaun, thu khwab dekhe aur mein nazar na aaon..! kuch to baat hai dosti me hamari, kya apke kadam nahi kehte ki chalo mil aaun...
Waqt ke panne palatkar fir woh haseen lamhe jeena ko dil chahta hai,kabi muskuraya karte the sab dost milkar,aaj phir unke sath wo pal bitane ko dil chahta hai.
Ishq ek shokh nigaah hai dost, Unpe mit jaane ki ek chaah hai dost, Ishq manzil nahin, koi iraadaa bhi nahin, Jhoot ke jangal se alag, Sach ki ek raah hai dost.
Aapko koi gam ha to khushi hum h, ro rahe ho to hashi ham, udaas ho to umang hum h, akele ho to sath hum h ab muskura bhi do kyuki jab hum hai to kya gum hai.
Zamane bhar ki baton mei hame bhula na dena jab kabhi yaad aaye to zara muskura dena zinda rahe to milenge dost nahi to har diwali mere naam ka diya jala dena!
Dosti k panno se bhari kitab ho tum, rishton k phulon mai gulab ho tum, kuch log kehte hai k dost sache nhi hote, un logon k har sawaal ka jawab ho tum
Sari umar aankho me 1 sapna yad rahega, sadiya beet jayegi wo lamha yad rahega. Jane kya bat thi un dosto me, mehfil bhul jayege bas wo dostana yad rahega.