Aaj phir tum nazar nahi aye.. phir tamanna ke phool murjhaye. Na jaane kin galiyon mein kho gaye tum, Hum to police station se pagal khane tak dhoond aaye.
Sitam sehne ki hadd hoti hai, kissi ko sataane ki hadd hoti hai, sms karne ki koshish to kiya karo, yun hi sms pad kar mobile jeb me daalne ki bhi hadd hoti hai
Jab tumhara sms aata hai, mera rom rom machal jaata hai ang ang me gudgudi hoti hai, ye sms ka kassor nahi hai, kambakht cell hi vibrator par hota hai.
Chand Pe Kali Ghata Chhati To Hogi, Sitaron Ko Muskurahat Aati To Hogi, Tum Lakh Chhupao Duniya Se Magar, Akele Me Tumhe Apni Shakal Pe Hansi Aati To Hogi...
Likhne wale ek ehsaan kar de, Mere yar ki taqdir me uska pyar likh de, Na mile kabi dard use mohbat me,Tu chahe to uski GIRL FRIEND meri kar de.....!!!!!!