taqdeer thi aisi ke kabhi khush na rahsake sab kuchh diya khuda ne magar ham na sah sake chahat hamari phool thi ek vo hi na mila ghar me dher motiyon ka chaha na jo kabhi
Hum Kabhi aap se Khafa ho nahi sakte, Yeh Dil ke Rishtey Bewafa ho nahi sakte, Aap bhale hameh bhulake so jao, Hum aapko yaad kiye bina soh nahi sakte.!!
Yaado ko teri humne khone na diya, gumo ne bhi chup hone na diya. aankhe to aaj bhi bhar aayi teri yaad me, par teri di hui kasam ne hume rone na diya.!
Door tumse tab bhi na the,door tumse ab bhi nahin.Kuch faasle aa gaye hamare beech,par dil se door tum ek pal bhi nahin.Kabhi dil se dil ko yaad karke to dekh,yeh dooriyaan kuch bhi nahin
Mai Jab Se Tere Pyar Ke Rangon Mein Rangi Hoon,Jaage Hue Soi Nahin Neendon Mein Jagi Hoon,Mere Pyar Bhare Sapne Kahin Koi Na Chheen Le,Man Soch Ke Ghabraye Yahi Soch Ke Ghabraye
Itna kuch khoya ki hume paana na aaya, Pyar kiya to jatana na aaya. Aa gaye is dil mein pehli hi nazar mein who, Kasoor humara tha jo hume unke dil mein samana na aaya.