Manzil Bhi Kho Chuke Humsafar Bhi Nahin Raha Meri Kisi Bhi Duaa Main Sayad Asaar Hi Nahin Raha Jab Se Huyee Hai Dil Ko Khabar wo bichaddh raha hai mujhse Lafzoon Ko Jodnay Ka Tabse Hunaar Bhi Nahi Raha...
WAFA is ko nahin kehte wafa kuch or ho ti hai. Muhabbat karne walon ki ada kuch or ho ti hai. Tumhein dekha tumhein chaha tum hi se pyar kar bethe. Suno patthar k dil walon muhabbat aisi bhi hoti hai. Agar che gham ka maara hoon magar tum ko na bhoolonga. K deewano k honton per dua kuch or hoti hai. Tadap uthay gi yeh duniya agar royega dil mera. K Dil se jo nikalti hai sada kuch or hoti hai.
Falak ko zid hai bijliya girane ki. hume b zid hai wahi aashiyan banane ki,aapko hai zid gar hume bhulane ki, to hume b zid hai aapko apni yaad dilane ki.
Jab tak jindagi hai, ye pyar rahega, ay dost meri aankho me tera hi intejar rahega. apni jindagi ki sabse khubsurat pal me muje sirf aapka intejar rahega...
Dekha jo woh jaam teri yaad aagayi...yeh shaam tere naam, teri yaad aagayi...Har koi Janata tha mujhe tere naam se...Pucha kisi ne naam, Teri yaad aagayi