Kuch nasha to aapki baat ka hai, kuch nasha to dheemi barsaat ka hai, humein aap yun hi sharabi na kahiye, is dil par asar to aap se mulakat ka hai....!
Kisi khas ko nazar andaj kiya nai jata jinhe bhul nai sakte unhe yad kiya nai jata. Ye yaden to sahil hai un lamho ka jin lamho ko dobara jiya nai jata..
Na kabhi ye chupaya ki Pyaar kitna hai,Na kabhi ye Jataya ki dard kitna hai, Bus ek hume aur uss Khuda ko hai maloom,; tujse mulakat ka intezar kitna hai.
Avaz sun lete agar is dil k rone ki, Jarurat na pdti. hame u palke bhigone ki, Vo the hi kaha hmare jo gair hue, Hote hum unke to koshish na karte vo dur hone ki