Tare aasman me hi chamkte hai, Badal itne dur hai, phir bhi baraste hai, Hum bhi kitne ajib hai,Tum Dil me rehte ho, aur hum tumse milne ko taraste hai
Har phool ki ajab kahani hai, chup rehna bhi pyar ki nishani hai, kahin koi zakhm nai phir bhi kyun dard ka ehsas hai, lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi uske paas hai.
Koi khwab in aankho me sajaya hi nahi,Hamare dil ki gehrai ko koi samajh paya hi nahi,Kisi ko mehsus ho kami hamari,Khuda ne Shayad hame aisa banaya hi nahi.
Gila nahi jo naseebo ne kar dia juda, teri judai bhi ab hume pyar karti hai, Kinare baith k jiske kiye the dil ne karaar,nadi wo bhi ab tera intezar karti hai
Jab Se Hua Hai Woh Khwab Ki Tarah ..!! Zindagi Guzar Rahi Hai Azaab Ki Tarah ...!! Khushbu Ke kalam Se Shayad Likha Tha Usne Khat ...!! Har Lafz Mahak Raha Hai Gulab Ki Tarah ...!!
Zindan_e_Ishaq Mein Jo Griftaar Ho Gya Kisi Kaam ka Na Raha Bekaar Ho Gya Jiss rooz keh usey Mehboob ka Deedar Ho Gya Us din se Shuru Dobara Intazar Ho Gya