Mere khushiyonko jamane ki nazar lag gai Tum mere sath thi pariyonki nazar lag gai Aaj ro raha houn door hokar tumse Lagta hein mujhe muskurane ki saza mil gai
kabhi tum bhi humse baat kar liya karo milne ki fariyad kar liya karo ek hum hai jo har baar shuruwat karte hai kabhi tum bhi hume humse pehle yaad kar liya karo
Intejaar ka meetha darad diya hai tumne, Mujh par bada ehsan kiya hai tumne, Kambakth aaj kal hichkiyan bhi nahi aati, Jo soochoon ke abhi mujhe yaad Kiya hai tumne
Her khamoshi ka mutlab inkar nahi hoota.. Her nakami ka mutlab haar nahi hota.. To kia hua jo hum app ko pa na sakay.. Sirf panay ka mutlab to pyaar nahi hota...........
Tanhai mein waqt barbad kiya karte hai, Hum har din har pal tumhe yaad kiya karte hai, Mein nahi janta gharwale batate hai, Hum neend mein bhi aapka naam liya karte hai
Unki zudai ne hume yar se kafir bana diya,Likhi ibarato ko kore kagaz sa bana diya,Dalega phir dil hamara mohabbat me kabhi,Is aas ne hamko musafir bana diya.