maine aansu mange the tumse,tumne hasi de di,maine maut mangi thi tumse,tumne zindagi de di,zindagi dene ki ab wajah to batao,nahi to apni zindagi bhi sath le jao.
Haqeeqat karo byaan to mazaak lagta hai, ibadat karo jab to jhootha khwab lagta hai, Are ye dil hai dil, aur dil ki hai ye sdaa, aur tum kehte ho ki tumhe ye haseen ittfak lagta hai
wo jaaye to sahi, hum aane kaa wada karte hai wo roothe to sahi, hum manaane ka Wada karte hai dil todna hai mera to beshaq tod de wo is dil k bina bhi hum unko chahane ka wada karte hai
NAZRO SE SHURU HOTA HAI PYAAR, DO DILO ME EK SATH PANAPTA HAI PYAAR, JO MUMKIN NAHI HAI IS DUNIYA ME KaiSE BHI, AISE NA MUMKIN KAAM BHI KAR DIKHATA HAI PYAAR.
Suraj Ki Kya Zarurat Aye Khuda Andhera Hatane Ke Liye, Ke Unki Roshni Hi Kaafi Hai Raat Ko Mitane Ke Liye, Wo Kehte Hain Tera Pyaar Zaada Hain Is Dil Me Basane Ke Liye, Unhe Kya Pata Unki Aankhen Hi Kaafi Hain Mere Dubjane Ke Liye
Kati kahin pe raat to kati sahar kahin Rahe wafa mein chain na paya magar kahin Wo sun rahe hai yu mera afsana e hayatDil hai kahin khyal kahin aur nazar kahin Dil mein panap rahi hai bas yehi arzooYarab mile humko koi humsafar kahin
chaha tha us ko rooh ki gahraiyon k sath.. zinda hain apni zaat ki tanhaiyon k sath.. roka nahi us ko bicharny k waqt b.. apni wafa py naaz tha sachaiyon k sath