Unki zudai ne hume yar se kafir bana diya,Likhi ibarato ko kore kagaz sa bana diya,Dalega phir dil hamara mohabbat me kabhi,Is aas ne hamko musafir bana diya.
Shareek thhey hum shaam-e-bazm main kahin, Teri yaad maenkhaane main bhulane ko kahin, Thhi umeed bandhi phir bhi is dil main, Laut aaogey tum mera saath nibhaane yahin
Koi kehta hai mohobat zehar hoti hai, koi kehta hai mohobat kehar hoti hai,hum kehte hai jo tadpati rahi sada kinare k liye,mohobat ek aisi lehar hoti hai..
Koi Shaam Aati Hai Tumhari Yaad Lekar...Koi Shaam Jaati Hai Tumhari Yaad Dekar....Hamein To Uss Shaam Ka Intezaar Hai.....Jo Aaye Tumhe Saath Lekar....!
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.