Tanhai mein waqt barbad kiya karte hai, Hum har din har pal tumhe yaad kiya karte hai, Mein nahi janta gharwale batate hai, Hum neend mein bhi aapka naam liya karte hai
'Ek mulakat anjan hoti hai, Anjan se hi to pehchan hoti hai. Jaha dekho waha ishq ke bimar bethe hai, Hajaro mar chuke hai lekin sekdo taiyar bethe hai..e hai..
mita denge yeh duri, yeh fasle sabhi! kahogi ek baar ki milo aa ke kabhi! na honge door phir tum se is zindagi main! khula rakho tum dar apna, hum atay hain abhi!
Kitabo mein phool rakhna darakhto pe naam likhna Tumhe bhi yaad hai wo harfe nazar se salaam likhna Woh sham ki mulaqate,wo pyar bhari baten Wo chote chote kagzo par muhabbato ke paigham likhna
Gila nahi jo naseebo ne kar dia juda, teri judai bhi ab hume pyar karti hai, Kinare baith k jiske kiye the dil ne karaar,nadi wo bhi ab tera intezar karti hai
Jab bhi tanhayi se ghabra k simat jate hai hum teri yaadon k daman se lipat jate hai zuban se keh nahi sakte hum tumhe kitna pyar karte hai nikal padte hai aansu jab tumhe yaad karte hai!.
Wo ruthe is kadar ki manaya na gaya, Durr itne ho gaye ki pass bulaya na gaya, Dil to dil tha samundar ka sahil nahi, Likh diya naam to fir mitaya na gaya.