Kati kahin pe raat to kati sahar kahin Rahe wafa mein chain na paya magar kahin Wo sun rahe hai yu mera afsana e hayatDil hai kahin khyal kahin aur nazar kahin Dil mein panap rahi hai bas yehi arzooYarab mile humko koi humsafar kahin
Faasle Jism Ko To Dour Le Jaate Hain Par Dilon Ke Shahar To Ujarte Nahi Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi To Saath Dekhe Hue Khwab To Mit Te nahi
Bolti hai dosti, chup rehta hai pyar. Hasati hai dosti, rulata hai pyar. Milati hai dosti, juda karta hai pyar. Phir bhi kyun dosti chodkar log karte hain pyar??
WAFA is ko nahin kehte wafa kuch or ho ti hai. Muhabbat karne walon ki ada kuch or ho ti hai. Tumhein dekha tumhein chaha tum hi se pyar kar bethe. Suno patthar k dil walon muhabbat aisi bhi hoti hai. Agar che gham ka maara hoon magar tum ko na bhoolonga. K deewano k honton per dua kuch or hoti hai. Tadap uthay gi yeh duniya agar royega dil mera. K Dil se jo nikalti hai sada kuch or hoti hai.
Door tumse tab bhi na the,door tumse ab bhi nahin.Kuch faasle aa gaye hamare beech,par dil se door tum ek pal bhi nahin.Kabhi dil se dil ko yaad karke to dekh,yeh dooriyaan kuch bhi nahin
Aarzoo dil mein hai kya, kya kahoongar waqt tham jaaye to bas tumhein dekhtaa rahoontumhaare aks ko apne wajood mein aise shaamil kar loonjab bhi aankhein band karoon, bas tumhein dekhaa karoon