Raat kya dhali sitaare chale gaye, Gairo se kya Gila jab apne chale gaye, Jeet to sakte the ishq ki baazi hum bhi, Par tumhe jeetne ke liye, hum haarte chale gaye.
Chaha tha jisko use bhulaya na gaya, jakhm dil ka logo se chupaya na gaya, judai k baad bi itna pyar karta hai dil use, k judai ka ilzam bi us pr lagaya na gya.
usne kaha bas itni mulaqat bahut hairo ro ke kaha thehro abhi raat bahut hai aansoo mere thum jaaein to phir shauq se jana aise mein kahan jaoge barsaat bohat hai
Teri sabhi baatein baar baar yaad karna acha lagta hai..Tumhein khud mein mehsoos karna acha lagta hai..Dua hai bas yahi ke Khuda aapko humse juda na kare..Kyunke tera saanso ke nazdeek rehna acha lagta hai
Gamo ko zindagi ka nam buzdilo ne diya hai,Humne to gamo ka samna khusi se kiya hai,Marte waqt b in hoto se hasi na jayegi,Ye vada humne zindgi se kiya hai.