Koi kehta hai mohobat zehar hoti hai, koi kehta hai mohobat kehar hoti hai,hum kehte hai jo tadpati rahi sada kinare k liye,mohobat ek aisi lehar hoti hai..
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.
Ehsaas Bohat Hoga Jab Chor Ke Jaingay Roengay Bohat Magar Aansu Nahi Aaengay Jab Saat Na De Koi To Awaz Hamain Dena Aasman Per Bhi Hongay To Lout Ke Aaengay