Apna Bhi Dard Mujhko Mere Razdar De,Kuch Apni Zindagi Pe Mujhe Ikhtiyar De,Aisa Na Ho Ki Kal Tu Mera Saath Chhod De,Jitna Nibha Sake Mujhe Utna Hi Pyaar De..
Zindagi ek baar milti hai usko na yun barbaad karo, khushi ho ya gam ka aalam us khuda par aitbaar karo, mohabbat hi to hame jeena sikhati hai is zamane mei isiliye doston kisi na kisi se tum bhi pyaar karo…
Har baat kehkar samjayi nahi jati, har cheez zindagi main paayi nahi jati, yu to har waqt yaad karte hai aap ko, par yaadein kisi ko dikhayi nahi jaati
Sehmi si nigaho me khwab hum jaga denge Suni si raho me phool hum bicha denge Hamare sang muskura kar to dhekiye Hum aapki zindagi ke sarey ghum bhula denge!