Talash karo koi tumhe mil jayega, Magar hamari tarah tumhe kaun chahega. Zarur koi chahat ki nazar se tumhe dekhega, Magar aakhein hamari kaha se layega.
Ashkon ko humne kayi baar roka,phir bhi na jane kyon ankhen dhoka de gayi,bharosa to tha hame iN apne aap par magar,unka zikr aate hi naa jane kyon palken nam ho gayi
pyaar kia to unki mohabat nazar ayi,dard hua hume to palke unki bhar ayi,Do dilo ki dhadkan me ek bat nazar ayi,dil to unka dhadka par awaz is dil se ayi.