Tumari judai yadon ka izhar karti hai, tumari yaad bahut bekarar karti hai.. Wo din jo sath guzare the humne, talash unhi palon ki ye nazar bar bar karti hai
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai, Tanhai main sheher basaaya karta hai, Kaisa paagal shaks hai saari saari raat, Deewaroon ko dard sunaya karta hai, Ro daita hai aap hi apni baatoon par, Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai.