Bhigi ankho se muskrane me maza aur hai, Haste haste palke bhigane me maza aur hai, Bat kahke to koi bhi samzta hai, Khamoshi ko koi samze to maza aur he.
tere husn ko shabdon mein kaid kar raha hoon jo rahe nakaam woh koshish kar raha hoon, amber pe hain lakhon tare chamakte ek ko is zameen par chamkane ki koshish kar raha hoon
Ga saku nagma,wo saaz kaha se lau, Suna saku kuch aapko wo andaz kaha se lau, Yu to chand ki tarif karna aasan hai, Kar saku aapki tarif wo alfaj kaha se lau,
Kya zamana tha hum roz mila karte the Raat bhar chand ke hamrah chala karte the Dekh ke jo hame chup chap guzar jata hai Kabhi is saksh se hum pyar kiya karte the.