Unke cahre par iss kadar noor hai, Unki yaad main rona bhi manzoor hai, Bewafa bhi kahe nahi sakte hum unhe, Pyar to humne kiya tha woh to bekasoor hai.
Har ghadi intezaar mein gujri,baato ke baad aapki yaadon mein gujri,hum to ek phool the, aap rakh ke bhule gaye,phir tamam umar aapki kitaab mein gujri.
Har phool ki ajab kahani hai, chup rehna bhi pyar ki nishani hai, kahin koi zakhm nai phir bhi kyun dard ka ehsas hai, lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi uske paas hai.
Esa Na Tha Ki Aaine Ke Aage,Hamne Khud Ko Kabhi Savara Na Tha !! Esa Bhi Na Tha Ki Bhari Duniya Main,Mera Koi Sahara Na Tha !! Per Hum Jiske Ho Chuke He Dilo Jaan Se,Afsos Vo Hamara Na Tha !!
Kaash tum mujhe ek khat likh dete, mujhme kya kya thi kami yeh to bata dete, tadapte dil se mere tumne nafrat kyu ki, nafrat ki hi mujhe koi vajah to bata dete