Na kabhi muskurahat tere hothon se duur ho.. Teri har khwahish haqiqat ko manzoor ho.. Ho jaye jo tu mujhse khafa.. Khuda na kare mujhse kabhi aisa kasoor ho..
Pilana farz tha kuch bhi pila diya hota, Sharab kam thi to pani mila diya hota, Agar zuban pe sharm-o-haya ka pehra tha, To muskura ke sar hi hila diya hota.
Kahan Koi mila jis per dunya Luta daita... Har ek ne dhoka dya kis kis ko bhula daita... Apne dil ka dard dil mai daba rakha hai... Agar kerte bayan tu mehfil Rula daita.......
Kitna bebas hai insaan apni kismat ke aage, Kitne benoor hain sapne hakikat ke aage, Koi ruki si dhadkan se puche,kitna tadapta hai dil mohabbat ke aage.
Umra ki rah me insan badal jate hai, waqt ki aandhi me tufan badal jate hai, socha tumhe itna yaad na karu, lekin aankh band karte hi irade badal jate hai...
Maana ki aaj hamare saath koi dildaar nahin, lekin ye mat samajhna ki hamein kisi se pyar nahin, kismat ne sab kuchh diya hamen, sirf diya hamara woh yaar nahin.
Kabhi mautse zindgi ka sauda na kar saka Uski yaado ko dilse juda na kar saka.Use bhulne ki aarju bahut thi dilme Par kaise karu wo kaam jo khuda na kar saka
Agar har chehre mein usika chehra nazar aata hain agar har baato par uski naam lete hain agar ise pyar kehte hain toh haan maine bhi kissi se pyar kiya tha..