Zikar unka hi aata hai mere fasane mein,jinko jaan se zyada chaha hmne zmane mein. Tanhayi mein unki hi yaad ka sahara mila,nakamyaab rhe jinhe hum bhulane mein
Is se zyada kya rakhte hai chahat ki umeed,mita diya khud ko tumhe paane ke liye,mar kar bhi na bhool payenge hum,aankh to bandh ki hai sirf zamane ke liye.
Raat gumsum hai magar chan khamosh nahi, Kaise keh du aaj fir hosh nahi. Aisa duba teri aakho ki gehrai main, Haath mein jam hai magar pine ka hosh nahi.
Kya mohabbt kisi ke bhi kabil nahi hai jo dil chahe kyu usse wo hasil nahi hai saans ab jeevan ko itni door layi hai maut keh rahi hai wo teri manzil nahi hai.
Zindagi Mein Aye Hai Kuch Daur Is Tarah Sawan Mein Aate Hain Toofan Jis Tarah Muje Se Door Ho Chuke Wo Mere Apne Kuch Aise Ki Marne Ke Baad Jism Se Rooh Jis Tarah.
Har udaas aankho me aansu hote he,Har kisiki zindgi me bade armaan hote he,Hamari bebasi to dekho! Hum rat-din jiske liye rote hai woh kisi or k hote he.