Lahero ko pyar tha kinaro se, par uski shadi hogai sagar se, kinaro ki pireet lahero ko khinch lati hai, par badnaam na ho mohbat is liye laher laut jati hai.
AAJ TALAK HUM CHAHTE RAHE HAIN AAPKO YE BAAT BHI TO SADA BTAATE RAHE HAIN AAPKO AB AAP HE NA SAMAJH PAAYE TO KYA KAREIN HUM TO HAAL-E-DIL SUNAATE RAHE HAIN AAPKO
Kehte hain patthar dil aadmi ke, aansoo nahi nikalte; Par teri hi kudrat hai, pattharon se hi jharne phootte hain. Dil patthar ke nahin hote, jamana bana deta hai Sakhta patthar ke peeche ka dard kise pata hota hai?
Kuch pal ke lamhe ab k saal me hai, ham unke or wo mere khayal me hai, tanha the pehle ham beparwah thi zindagi, ab fikar lagi rahati haiwo kis haal me hai.
Waqt guzarta raha par sanse thami si thi, muskura rahe the hum par ankho mein namisi thi, sath hamare ye Jahan tha sara,par Na jane kyun kisi ki kami si Thi