Laut jati he duniya gam hamara dekhkar, jaise laut jati he lehren kinara dekhkar, tu kandha na dena mere janaze ko, kahi fir zinda na ho jau tera sahara dekhkar
Yu to sadmo me bhi hans leta tha main, aaj kyun bewajah rone laga hu main... baraso se hatheliya khaali hi rahi meri phir aaj kyun lagata hain ki sab khone laga hun main
Dheere dheere se ab tere pyaar ka dard kam hua, na tere aane ki khushi hui aur na jaane ka gam hua, jab log mujhse puchte hain hamari pyar ki dastaan, main keh deta hun ki ek fasana tha jo ab khatm hua…