Khuda Ke Liye Ab BeRukhi Se Kam Na Le Tarap Ke Phir Koyi Daman Ko Tere Tham Na Le Zamane Bhar Mein Hain Charche Meri Tabahi Ke Mein Daraha Hoon Kahin Koyi Tera Naam Na Le
Meine Mana Teri Aankhein Nahin Khulti Magar Din Nikalne De Ujalon Se Preshan Na Ho Apni Zulfo Mein Utarti Huyi Chandni Ko Chupa Mere Bikhre Huye Balo Se Preshan Na Ho
Meri Yaad Tumhein Zaroor Aaye Gi Yaad Tumhari Ankhoun Mein Ashk Bhar Laye Gi Jab Tu Meri Yaad Ko Dil Mein Yunhi Jalaye Gi Tab Meri Yaad Tujh Ko Or Bhi Sataye Gi
Teri Har Ada Mahabbat Si Lagti Hai Ek Pal Ki Judayi Sadiyoun Se Lagti Hai Pehle Nahin Socha Tha Ab Sochne Laga Hoon Zindagi Ke Har Lamhe Mein Teri Zaroorat Si Lagti Hai
Ye Dil Tere Liye Beqarar Aaj Bhi Hai Meri Aankh Ko Tera Intizar Aaj Bhi Hai Tu Aaye Gi Ye Umeed Hai Mujhe Tujh Ko Pane Ke Liye Tera Deewana Aaj Bhi Hai