Khuda Ke Liye Ab BeRukhi Se Kam Na Le Tarap Ke Phir Koyi Daman Ko Tere Tham Na Le Zamane Bhar Mein Hain Charche Meri Tabahi Ke Mein Daraha Hoon Kahin Koyi Tera Naam Na Le
Utter Kay Dekh Mere Pyar Ki Gehraiyon Mein Soch Mere Barey Mei Zara Raat Ki Tanhaiyon Mein Agar Ho Jaye Meri Chahat Ka Yaqeen To Paoge Mujhe Apni Parchayion Mein..
Raat kya dhali sitaare chale gaye, Gairo se kya Gila jab apne chale gaye, Jeet to sakte the ishq ki baazi hum bhi, Par tumhe jeetne ke liye, hum haarte chale gaye.
Wo mere liye kuch khaas hai yaaro" jinke laut aane ki na koi aas hai Yaaro" wo najro se door hai to kya huwa.. Banke dil ki dhadkn mere paas to hai yaaro" """
tere husn ko shabdon mein kaid kar raha hoon jo rahe nakaam woh koshish kar raha hoon, amber pe hain lakhon tare chamakte ek ko is zameen par chamkane ki koshish kar raha hoon
Kabhi mautse zindgi ka sauda na kar saka Uski yaado ko dilse juda na kar saka.Use bhulne ki aarju bahut thi dilme Par kaise karu wo kaam jo khuda na kar saka