Meri zindagi ke is mod pe ye kaisa waqt aaya hai, zakhm is dil ka zubaan pe aaya hai, nahi rote hum kaanto ki chubhan se, aaj kisi ki yaad ne humko itna rulaaya hai......
Poocho na us kaagaz se, jis per hum dil ke bayaan likhte hain, tanhaayion mein beeti baatein tamaam likhte hain, woh kalam bhi dewani ho gayi, jis se hum tumhaara naam likhte hain.....
LAB KHAMOSH HAI AANKHON SE BAAT HOTI HAI, AISE HI DOSTI KI SHURUVAAT HOTI HAI, TERE HI KHAYALON ME KHOYE RAHTE HAI, PATA NAHI KAB DIN AUR KAB RAAT HOTI HAI......
Haseen chehre par, Kabhi aetbaar na karna, Tod dete hai dil, Kabhi pyaar na karna, Hai guzarish doston se meri, Mar jaoge woh na aayenge, Kabhi intezaar na karna......
kyoon zindagi ki raah mein majboor ho gaye itne huye kareeb ke hum door ho gaye aisa naheen ke humko koi bhee khushi nahin lekin ye zindagi to koi zindagi nahin kyoon iske faisle hamen manzoor ho gaye paaya tumhe to humko laga tumko kho diya hum dil pe roye aur ye dil humpe ro diya palkon se khwaab kyoon gire kyoon choor ho gaye.....
Hum ne kisi ki yaad main rona hi chor diya Apni Zindagi ko talaash karna hi chor diya Sab beeti hui baatein bhula di hum ne Ab Dil main maazi basana chor diya Kaanton se bhar dete hain log daaman Hum ne Aangan main Phool khilana hi chor diya Kabhi na maangen ge kisi se bheek Mohabbat ki Is hi liye hum ne Pyaar karna hi chor diya.....
humain hasnay or hasanay ke adat hay nazron say nazrain milanay ke adat hay,par hamare nazar jisay hay ja mile osay nazar jhuka kar sharmanay ke adat hay.