Meine Mana Teri Aankhein Nahin Khulti Magar Din Nikalne De Ujalon Se Preshan Na Ho Apni Zulfo Mein Utarti Huyi Chandni Ko Chupa Mere Bikhre Huye Balo Se Preshan Na Ho
Maang kabhi ulfat main jaan b hum se Hum teri kisi baat ko taala nahi karte Tasdeeq jo karni ho to aa jao kisi sham Hum tere bina ghar main ujaala bhi nahi karte
Yaadon ki parchayee mein ab to aaye tera hi cehra Tu abhi tak iss baat se hai anjaan main hoon deewana tera Izhaar-e-mohabaat karne to bahot baar socha maine Par har baar tere hi aks ne roka hai rastaa mera
tanha ho kabhi to mujhe dhoond lena is dunia se nhi apne dil se pooch lena aapke aas paas hi kahi rehte hai hum yaado se nhi to sath guzare lamho se pooch lena
Meri manzil hai kahin aur tujhe ye khabar to ho, Raah men pada koi ab tum pathhar to na ho, Tu jaan le iss baat ko ab achhi tarah, Izhaar mujhse karne ka koi dil men waham na ho
Geele Kagazki Tarah Hai Zindagi hamari, Koi Jalata Bhi Nahi Koi Bahata Bhi Nahi, Is Kadar Akele Hai Dilki Rahon Me, Koi Satata Bhi Nahi Koi Manata Bhi Nahi...