La pila de saqiya paimana paimane ke baad Hosh ki baate karunga hosh me aane ke baad Waqt do hi zindagi me guzre hai kathin Ek tere aane se pahle ek tere jane ke baad.
Ankho mein raha dil me utar kar nahi dekha Kasti ke musafir ne kabhi samandar nahi dekha Bewaqt agar jaunga sab chauk padenge Muddat hui din me kabhi ghar nahi dekha
Mere sath sath sada raha woh meri nazar se chupa hua Ye ajeeb si jo misal hai na kabhi mila na juda hua Jise le gai hai abhi hawa woh varak tha dil ki kitab ka Kahin ansuo se likha hua kahin ansuon se mita hua
Sar jhukaoge to pathar devta ho jayega Use itna mat chaho woh bewafa ho jayega Main khuda ka naam lekar pi raha hun dosto Zehar bhi usme agar hoga to dava ho jayega Hum bhi dariya hai hame apna hunar malum hai Jis taraf bhi chal padenge rasta ho jayega
Sata sata ke hamen ashqbar karti hai Tumhari yaad bahut beqaraar karti hai Gila nahi ke nasibo ne kar diya hai juda Teri judaai bhi hamse pyar karti hai
Ai muhabbat tere anjam pe rona aaya Jane kyu aaj tere naam pe rona aaya Kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gham Manzile ishq mein har gaam pe rona aaya
Dard ki had se guzarna to abhi baqi hai Tut ke mera bikharna to abhi baqi hai Pas akar mera dukh dard batanewale Mujhse katra ke guzarna to abhi baqi hai