Ai muhabbat tere anjam pe rona aaya Jane kyu aaj tere naam pe rona aaya Kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gham Manzile ishq mein har gaam pe rona aaya
Ashq beh beh ke mere khaak pe jab girne lage, Maine tujhko tere daaman ko bahut yaad kiyaa, Yoon bhi ek din tujhe barbad to hona tha, Naaz kar naaz ke us ne tujhe barbaad kiya.
Hame apni dosti ka hisaab nahi aata,aapka palat kar koi jawaab nahi aata.. Hum to aapki yaad me sote tak nahin,aur aapko sokar bhi hamara khwaab nahin aata...
Hijr Ke Mosam Main Ye Barish Ka Barasna Kesa Ik Sehraa Se Samandar Ka Guzarna Kesa Aye Mere Dil Na Pareshan Ho Tanha Ho Kar Wo Tere Sath Chala Kab Tha To Bichadna Kesa.
Nikalte hai ansu jab mulakat nahi hoti, tut jata hai dil jab bat nahi hoti, apki jaan ki kasam jab aap na yaad aye, esi koi subha esi koi raat nahi hoti...
Kabi kehte the tum bin zindgi adhuri hai Aj kehte ho tumhe n milna majburi hai Phle to kehte the tum bin jevan me kuch nahi Aj kehte ho k dur rehna zaruri hai