Aapki Dosti hamein is kadar pyaari hai, Jis tarah bin paani ke machli bechari hai, Ab na aur kuch khawish hai, Bus tum DOST bane raho ye hi tum se guzarish hai
Har raat ko chand ka shingar nahi milta, Har baag ko phool ka dular nahi milta, Maine bhi duniya dekhi hai Dost, Har insaan ko tere jaisa yaar nahi milta.
Dost to ruksat ho jaate hain, par kuch yaadon ke daayre ban jaate hain. Bhool jaana to insaan ki fitrat hai, par kuch acche Dost yaadon mein bas jaate hain...
Sachi hai dosti aajmake dekh lo, karke yakin mujh pe mere paas aake dekh lo. badalta nahi kabhi sona apna rang, chahe jitni baar marji aag me jalaake dekh lo
Jiske pas kuch nahi uspe duniya hasti hai,jiske pas sabkuch hai usase duniya jalti hai,hamare pas aap jaisa dost hai, jise pane ko duniya tarasti hai..
Teri pyari si umeed kaise tod jaoon,Tu khwaab dekhe,Aur mein nazar na aaoon,Kuch to baat hai dosti mein hamari,Kya apke kadam nahi kehte,Ek baar mil aauun.!
Shayari mein dimaag nahi dil zaroori hai Kuch jigar ka khoon ho shamil zaroori hai Sirf lafjo ki tukbandi shayari nahi Sher ho dil pe lagne ke qabil zaroori hai