Zindagi ki rahon

Zindagi ki rahon
Zindagi ki rahon me bahut se yaar milenge, hum kya humse achhe hazaar milenge;In achhon ki bheed me hame na bhula dena, hum kahan apko bar bar milenge.
  

Jan, 24 2012     151 chars (1 sms)     7421 views       Shayari > Dost Shayari

more Dost Shayari SMS Messages

Meri dosti ka hisab lagaoge, To meri dosti ko behisab paoge, Pani ke bulbule si hai meri dosti, Jara si thes lagi to dhoondte reh jaoge
zamane mein nahi deewana ham saa deewana nahi yeh zamana ham saa, ham ache se nibhate hain yeh dosti koi kar ke dikhaye dostana ham saa,
hoti nahi dosti surat se, dosti to dil se hoti hai. surat unki khud hi pyari lagti hai, kadar jinki is dil mein hoti hai
Zindagi ki kitab k kuch panne hote hai Kuch apane kuch begane hote hai Dosti se savar jati he zindagi Bas dosti se rishte nibhate hoti hai
Gadha jo khaye wo Ghas ho tum, Buddhe ka Chyawanprash ho tum, Idiot stupid bakwas ho tum, Par jo bhi ho yar, Dost Jhakaas ho tum...
khusnashib ho aap jo hum aapke dosti ko itne shddat se chahte hai varna hum to who shaksh hai khowbo me bhi appoiment se aate hai
manzile bhe uski the, rasta bhe uska tha ,ek hum he akale the, qafila bhe uska tha...... saath saath rahane ke soch bhe uski thi, phir rasta badalne ka faisla bhe uska tha.
dosti pe naz he hame,kal jitna bharosa ta utna aj he hame,Dosti wo nai jo sirf gam r khusi me sath de,Dosti wo jo harpal apnepan ka esas de.
:Aapse Jab Hamari Yaari Ho Gayi.Duniya Humari or B Pyari Ho Gayi.Pehle Hum Kisi B Cheez K Aadi Na The.Par ab Aapko Yaad Karne ki bimari ho gayi
Bechadne wale ko yaad me kya doge, Sote hue ko khwaab me kya doge,Hum chahte hai umer bhar dosti ka wada, Kaho is sawal ka jawab kya donge.
Bikta he gam husn k bazar me,Lakho dard chhipe hote he 1 chhote se inkar me! ho jao agar jamane se dukhi to,Swagat he hamare dosti ke darbar me.
Aisa yaar chahiye jo hame Apna man sake, hamare har dukh ko jaan sake, chal rahe ho tej barish me, fir bhi pani me se aansuo ko pehchan sake...