Ek phool bhi akser baag saja deta hai. ek sitara hi sansar chamka deta hai. Jahan duniyabhar k rishte b kaam nahi aate, waha 1 dost zindagi bana deta hai.
Jab kabhi tera naam lete hai Dil se hum inteqam lete hai Meri barbadiyo ke afsane Mere yaro ke naam lete hai Bas yehi ek jurm hai apna Hum muhabat se kaam lete hai.
Guzra hua waqt dubara nahi aayega, marne ke baad kisi Ko pukara nahi jayega, mere dil Ke jis Kone me teri tasveer lagi hai, teri Kasam yaar us taraf Koi dubara nahi jayega.
Kuch ehsaso k saye dil ko chu jate hai, kuch manzar dil me utar jate hai, bejan gulshan me bhi phool khil jate hai,jab zindagi me ap jaise apne mil jate hai.
Zindagi ki rahon me bahut se yaar milenge, hum kya humse achhe hazaar milenge;In achhon ki bheed me hame na bhula dena, hum kahan apko bar bar milenge.
Dosti sachi ho to waqt ruk jata he,asma lakh ucha ho magar jhuk jata hai, Dosti me duniya lakh bane rukawat,agar dost sacha ho khuda bhi zukh jata hai!
Fikr itni hai us khuda ko tumhari,usne bhej di tumhare liye duniya sari,1 aasu b na ane denge ae dost teri ankho me,us khuda se jyada fikr hume hai tumhari