Meethi baaton se nahi hota pyaar, Har phool nahi banta haar... Yun toh zindagi me koi aata hai aur jata hai, Lekin har koi nahi banta aap jaisa yaaar..
Koi dikhake roye, koi chippa ke roye,humein rulaane waale humein rulake roye.... Marne ka maza to tab hai yaaron,jab qaatil bhi janaaze pe aakar roye....
Ansu bina ankhe itni khoobsurat nahi hoti, gum bina khushi ki koi keemat nahi hoti, agar mil jaati har cheez chahne se, to duniya me duaon ki zarurat nahi hoti
Karo karam ya sitam,gila ham nahi karte,pathar pe yakinan phul khila nahi karte,mita do hamko dil se magar khyal rahe,hum jaise DOST dobara mila nahi karte.