Jivan guzarne ka bahana dhundte hain,Khatam na ho kbhi woh paimana dhundte hain,hosh me to tadpenge raat-din,jo hosh na ane de woh maikhana dhundte hai.
Waqt Ki Anch Per Pathr Bhi Pighl Jate Hain.. Keh kahe Tut Kar Ashkon Mein Badal Jate Hain.. Umar Bhar kon Kisi Ko Yaad Kya Karta Hai.. Waqt Ke Sath Khayalat Bhi Badal Jate Hain
Aaj hum bichhade hai to kitne rangeele ho gaye meri aankhein surkh tere haath peele ho gaye kab ki patthar ho chuki thi aankhein magar chhu ke dekha to mere haath geele ho gaye
U toh bahutse jaltey hai par Kundan kaun yaha ban pata,Dube to lakho hai par Moti kiske haatho ata,Sagar ka nimantran hai mujko per lahero ko sweekar nhi,Jivan to apna hai Lekin Sapno per adhikar nhi.
Shayad firse wo taqdir mil jaye, jiwan ka sabse hasin wo pal mil jaye,chalo firse banaye sagar pe ret ka makaan, shayad wapas apne purane din mil jaye!
Milke bichadana dastoor hai zindagi ka, Ek yahi kissa mashur hai zindagi ka, Beete huye pal kabhi laut kar nahi ate, Yahi sabse bada kasoor hai zindagi ka.