TEJI beet jati hai suhani yaad bankar,MUNAFA reh jata hai kahani banker,par SHARE to hamesha dil ke karib rahega,kabhi muskan to kabhi aankho mein pani banker.
U toh bahutse jaltey hai par Kundan kaun yaha ban pata,Dube to lakho hai par Moti kiske haatho ata,Sagar ka nimantran hai mujko per lahero ko sweekar nhi,Jivan to apna hai Lekin Sapno per adhikar nhi.
HAR baat ka koi jawab nahi hota, har ISHQ ka naam kharab nahi hota,yu to zhoom lete hai NASHE mein pine wale, magar har NASHE ka naam SHARAB nahi hota.
Kya pata fir se wo taqdeer mil jaye,ZINDGI ka sab se haseen pal mil jaye,Chal banaye sagar pe ret ka makan,Shayad humein wapas fir se apna BACHPAN mil jaye.