Jivan guzarne ka bahana dhundte hain,Khatam na ho kbhi woh paimana dhundte hain,hosh me to tadpenge raat-din,jo hosh na ane de woh maikhana dhundte hai.
rishtey banane ke liye bas ek PAL chahiye,par unhe nibhane ke liye DIL chahiye,khelta to sagar bhi hai lehro se,par unhe thamne ke liye bhi to SAHIL chahiye.
Kadam kadam pe hawa ka dhyan rakhna, mushkil waqt mein dosti ko yaad rakhna, humari yadooon ki khushbooo zarooor aayegi, tum bas apni naak saaf rakhna......
Kon tha apna kis pe inayat karte.Hamari to hasrat rahi tum bhi mohabbat karte.Us ne samjha hi nahi mujhe kisi kabil.Warna us se pyar nahi us ki ibadat karte
Hazaro ki ginti to hame nahi aati,par khwab kuch aisa dekhte hai,ke ret ka har zarra agar hira ban jaye to tohfe me aapko registan dene ki khwaish rakhte hai