Chahne se koi cheez apni nahi hoti, har muskurahat khushi nahi hoti, kehna to chahte hai bohot kuch apse, magar kabhi alfaaz to kabhi zubaan saath nahi hoti..
Mill jaye koi Naya to Hamein na Bhula dena Koi Rulaye Tumhein to Hamein Yaad kar lena Dost Rahange umar bhar Tumhare Tumhari Khushi na sahi Gham hi Baant lena
Pilana farz tha kuch bhi pila diya hota, Sharab kam thi to pani mila diya hota, Agar zuban pe sharm-o-haya ka pehra tha, To muskura ke sar hi hila diya hota.
Pehle kabhi tanha na tha yeh dil kisi ki yaad me, Phir aaj kyu yeh tera naam pukare ja raha hai. Humne to sirf basaya tha tujhe is dil me, Phir aaj kyu yeh tujhe apna banaye ja raha hai.
Har Kadam Hotho Par Aapki Hasi Ho, Har Pal Dil Me Aapki Khushi Ho Sitare Bhi Zami Par Akar Aapko Gher Le, Aisi CHAND ki Tarah Chamkati Aapki Zindagi Ho.
Ashkon ko humne kayi baar roka,phir bhi na jane kyon ankhen dhoka de gayi,bharosa to tha hame iN apne aap par magar,unka zikr aate hi naa jane kyon palken nam ho gayi