Betaab tamanao ki kasak rehti hai,manzil ko paane ki tadap rehti hai,hum zaroor nazron se dur ho,par hamari band aankhon me dost aapki jhalak rehti hai..
Kaun uthayega tumhari ye zafa mere baad,Yad ayegi bahut meri wafa mere jane ke baad,Shukra hai mahobat ne kiya itna range asar,Teen din usne na lagai mehndi mere jaane ke baad.
Tere husn ki tareef karu to tarana na ban jaye,Teri bewafai ka zikar karu to fasana na ban jaye, Mat ker logon mei itna zikr mera, kahin mera zikr, tujhe chedne ka bahana na ban jaye.
Kismat ham pe itana ehsan kr jaye,ye sare hasin khab hakikat ban jaye.na karege dua koi aur khuda se,agr jindgi k safar me aap hamare HAMSAFAR ban jaye.