Tum ko chahtey hoey bhi bhool jana acha laga... Ansoon ko chupa kar muskurana acha laga... Tum ajnabi they meray liey mager apna jaan kar acha laga... Pehchan to ik pal ki thi mager sadiyon se jaan kar acha laga.......
Yeh faasle yeh raste yeh dil ki majburiya,kab na jane khatam hogi humari duriyan,jo waqt guzara humne un raato mein,un yaadon mein hi basi hai apni kahaniya
Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi karte, Apne deewano ko sataya nahi karte, Har waqt bas jise tumhara khyal ho, Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte.
Maana ki aaj hamare saath koi dildaar nahin, lekin ye mat samajhna ki hamein kisi se pyar nahin, kismat ne sab kuchh diya hamen, sirf diya hamara woh yaar nahin.
Kya kahu tumhe? Khwab kahu to bikhar jaoge! dil kahu to tut jaoge! lo, tumhara naam zindigi rakh deti hu... to maut se pehle hamara saath na chod paoge