Nazrein mile ek zamaana ho gayaa…. Aisa lagta hai apna bhi koi begaana ho gayaa…. Wo to chale gaye humse door…. Lekin mushkil is dil ko samjhaana ho gayaa
Khushi se mare to aap ko paa kar marenge, Gum se mare to aap ko kho kar marenge, Gum naa hoga iss duniya se jaane ka, Jaise bhi mare aap ke ho kar marenge.
Ye Dekha Hai Humne Aazma Kar, Dur Chale Jaate Hai Log Aksar Kareeb Aakar, Kehti Hai Ye Duniya Par Dil Nahi Manta, Chod Jaoge Tum Bhi Ek Din Mujhe Apna Banakar
Tamanna hai khushion ki bahar mile aapko, jo dil chahe wo baar - baar mile aapko, sab aksar pa kar kho dete hain, magar kabhi na khone wala pyaar mile aapko.