Tamanna hai khushion ki bahar mile aapko, jo dil chahe wo baar - baar mile aapko, sab aksar pa kar kho dete hain, magar kabhi na khone wala pyaar mile aapko.
dil mein chupi baat ko ek baar jo pehchaan lete, lab jo na keh paye woh aankho se jaan lete, zuban humari himmat na kar payi, lekin is dil ki dhadkan ko to kaash aap pehchaan lete
Kisi k dil me basna bura to nahi,kisi ko dil me basana koi khata to nahi,gunah ho ye zamane ki nazar me to kya hua,zamane wale bhi to insan hai khuda to NAHI
Hum ne tanhai me zanzeer se baaten ki hai,apni soi huwi taqdeer se baate ki hai,tere didar ki kya tamanna hogi, zindagi bhar teri tasweer se baaten ki hai.