Agar har chehre mein usika chehra nazar aata hain agar har baato par uski naam lete hain agar ise pyar kehte hain toh haan maine bhi kissi se pyar kiya tha..
Pyar me bewafai mile to gum na karna,Apni aankhe kisi k liye num na karna,Wo chahe laakh nafrat kare tumse,Par tum apna pyar kabhi uske liye kam na karna.
zindagi itni jiyo jiski koi had na ho bharosa itna karo ki koi shaq na ho intazar aisa karo ki koi waqt na ho aur pyar aisa karo ki na mile to bhi nafrat na ho
Hum ne tanhai me zanzeer se baaten ki hai,apni soi huwi taqdeer se baate ki hai,tere didar ki kya tamanna hogi, zindagi bhar teri tasweer se baaten ki hai.
Chand tare jami pe lane ki zid thi, hume unko apna banane ki zid thi, achha hua wo pehle hi ho gaye bewafa , warna unhe pane ko zamana jalane ki zid thi.
Maang kabhi ulfat main jaan b hum se Hum teri kisi baat ko taala nahi karte Tasdeeq jo karni ho to aa jao kisi sham Hum tere bina ghar main ujaala bhi nahi karte